labaalab kar de ai saqi hai KHali mera paimana
salamat daur-e-gardun tak ye shisha aur ye mai-KHana
na puchho nam mujh wahshat-zada ka dasht-e-furqat mein
siDi saudai majnun mast be-KHud zar-o-diwana
mujhe mushrik na samjho main muwahhid hun zamane mein
tasawir-e-KHayali se bhara hai mera but-KHana
hua matla jo mushrik mein to maghrib mein hua maqta
liye phirte hain hum dosh-e-saba par bait ka KHana
urus-e-fikr meri aur dulhe se na zam hogi
faqiri ki milegi bu jo joDa hoga shahana
bhala lahj-o-lahja istada kya bayan hoga
qayamat tak to suniye baiTh kar ulfat ka afsana
zaifi mein bhi lipTi hai bala-e-shaeri mujh se
na chuTegi kabhi 'aKHtar' qalam se mashq-e-tiflana

Ghazal
Labaalab kar de ai saqi hai Khaali mera paimana
Wajid Ali Shah Akhtar