lab tak jo na aaya tha wahi harf-e-rasa tha
jis ko na main samjha tha wahi mera KHuda tha
main dast-e-saba ban ke use chheD raha tha
wo ghuncha-e-nau-ras tha abhi tak na khila tha
patthar ki tarah phul mere sar pe laga tha
is waqt sabhi roe the main sirf hansa tha
utra tha rag-o-pai mein mere zahr ke manind
wo dard ki surat mere pahlu se uTha tha
mahrum rakha tha mujhe meri hi ana ne
jo uTh na saka tha wo mera dast-e-dua tha
har-chand ki nisbat to mujhe gul se rahi thi
main bu ki tarah pairahan-e-gul se juda tha
mahrumi ka ehsas raha us se na mil kar
milne pe ye ehsas magar aur siwa tha
jaise koi kuchh rakh ke kahin bhul gaya ho
is tarah azal se wo mujhe DhunD raha tha
Ghazal
Lab tak jo na aaya tha wahi harf-e-rasa tha
Shahid Ishqi