lab tak aaya gila hamesha se
aur main chup raha hamesha se
sab hawaon se jang karta raha
ek nanha diya hamesha se
soch par lag saki na pabandi
yun hi aai hawa hamesha se
kitni shaklen badal ke aata hai
ek wahi waqia hamesha se
baat aasudgi ki hoti hai
kaun kis ko mila hamesha se
yaad karta raha kisi ko koi
phul dil mein khila hamesha se
us nigah ke sabab se paya hai
sab ne apna pata hamesha se
adl fariyaad se mila na kabhi
waqt chiKHa kiya hamesha se
ye fareb-e-wafa naya to nahin
yun hi hota raha hamesha se
sab use DhunDte rahe aur wo
yun hi chhupta raha hamesha se
bachche sun kar kahani kahte hain
yun hi kaise hua hamesha se
zindagi itni raegan kyun hai
kyun na wo mil saka hamesha se
wo jo dariya ke bich rahta hai
wahi pyasa mila hamesha se
sab parinde faza mein uDte hain
jal bichhta raha hamesha se
karwan raste mein chalte rahe
rasta chup raha hamesha se
qimti tha hawa-e-gham ke liye
ek dil ka diya hamesha se
chhoTi chhoTi si KHwahishon ke liye
koi zinda raha hamesha se
dil hai kya chiz hal hua na kabhi
mera ye masala hamesha se
har musafir ke sath aata hai
ek naya rasta hamesha se
aaj tak ye nahin khula aadil
kya hua faisla hamesha se
hui dar-asl mat kis ko yahan
jit mein kaun tha hamesha se
Ghazal
Lab tak aaya gila hamesha se
Tajdar Adil