اردو हिंदी
Lab siye dekha karun socha karun | Shaahi Shayari
lab siye dekha karun socha karun

Ghazal

Lab siye dekha karun socha karun

Khalid Ahmad

;

lab siye dekha karun socha karun
mere bas mein kuchh nahin main kya karun

rah mein hai dard ka koh-e-giran
kohkan bhi main nahin main kya karun

shahr ke shor-o-shaghab se bhag kar
koi kunj-e-afiyat DhunDa karun

gunjalak maggham sadaon ki tarah
gumbad-e-tanhai mein gunja karun

aur in mubham sadaon ka agar
koi matlab ho to wo likkha karun

aur jab apni samajh mein kuchh na aae
chiKH uTThun kya karun main kya karun

shahar ki viraniyon par nauhagar
ruh ban kar raat-bhar bhaTka karun