اردو हिंदी
Lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai | Shaahi Shayari
lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai

Ghazal

Lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai

Sahir Ludhianvi

;

lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai
phir bhi ahl-e-dil ko ahwal-e-bashar kahna to hai

KHun-e-ada se na ho KHun-e-shahidan hi se ho
kuchh na kuchh is daur mein rang-e-chaman nikhra to hai

apni ghairat bech Dalen apna maslak chhoD den
rahnumaon mein bhi kuchh logon ka ye mansha to hai

hai jinhen sab se ziyaada dawa-e-hubbul-watan
aaj un ki wajh se hubb-e-watan ruswa to hai

bujh rahe hain ek ek kar ke aqidon ke diye
is andhere ka bhi lekin samna karna to hai

jhuT kyun bolen farogh-e-maslahat ke nam par
zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai