اردو हिंदी
Lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad | Shaahi Shayari
lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad

Ghazal

Lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad

Anwar Sabri

;

lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad
koi aaya hi nahin aabla-pa mere baad

mere dam tak hi raha rabt-e-nasim o ruKH-e-gul
nikhat-amez nahin mauj-e-saba mere baad

ab na wo rang-e-jabin hai na bahaar-e-ariz
lala-ruyon ka ajab haal hua mere baad

chand sukhe hue patte hain chaman mein raqsan
hae beganagi-e-ab-o-hawa mere baad

munh dhulati nahin ghunchon ka urus-e-shabnam
gard-alud hai kaliyon ki qaba mere baad

aadmiyyat-shikni bhi to nahin kam 'anwar'
Dar hai kuchh aur na ho is ke siwa mere baad