lab pe ek nam jab aata hai to ro lete hain
koi ji-bhar ke rulata hai to ro lete hain
chandni-raat ki mahki hui tanhai mein
saz-e-gham par koi gata hai to ro lete hain
nur-o-nikhat ki fazaon ka dil-awez saman
dil mein jab aag lagata hai to ro lete hain
aaj bhi hadsa-e-dard-e-mohabbat ki qasam
pyar jab koi baDhata hai to ro lete hain
aarzuon ki ujaDi hui mahfil mein kahin
sham-e-dil koi jalata hai to ro lete hain
koi anjaan masiha koi gham ka sathi
qissa-e-dard sunata hai to ro lete hain
dil ki galiyon se tasawwur ki hasin wadi se
jab koi ruTh ke jata hai to ro lete hain
jaane kis zaKHm-e-mohabbat ka KHayal aata hai
pyar se koi bulata hai to ro lete hain
ab bhi ummid ke soe hue zaKHmon ko 'rais'
jab koi aa ke jagata hai to ro lete hain
Ghazal
Lab pe ek nam jab aata hai to ro lete hain
Raees Akhtar