lab pe ek nam hamesha ki tarah
aur kya kaam hamesha ki tarah
din agar koi guzare bhi to kya
phir wahi sham hamesha ki tarah
dekh kar un ko mere chehre ka rang
bar-sar-e-am hamesha ki tarah
kucha-gardon pe hi pabandi hai
jalwa-e-baam hamesha ki tarah
dil wahi shahr-e-tamanna ba-kanar
aur nakaam hamesha ki tarah
haal kya apna batae 'mahshar'
waqf-e-alam hamesha ki tarah
Ghazal
Lab pe ek nam hamesha ki tarah
Mahshar Inayati