lab pe harf-e-mo'tabar rakhta hai wo
baat karne ka hunar rakhta hai wo
ek aali-shan ghar rakhta hai wo
phir bhi KHud ko dar-ba-dar rakhta hai wo
ek apni hi nahin hain uljhanen
kitne gham-ha-e-digar rakhta hai wo
uD raha hai jo khule aakash mein
aane wale kal ka Dar rakhta hai wo
sar se pa tak chiKHti sannaTagi
apne andar ek khanDar rakhta hai wo
Thokaron mein us ki hai sultaniyat
peT par patthar magar rakhta hai wo
dil jala ke jaane ki ki yaad mein
sham ki dahliz par rakhta hai wo
dil ke panw Dal di zanjir-e-aql
nafs ko yun mar kar rakhta hai wo
raat-bhar chehra KHuda ki yaad mein
aansuon se tar-ba-tar rakhta hai wo
khoya rahta hai kitabon mein magar
shahar-o-sahra ki KHabar rakhta hai wo
aadmi se ho gai hain nafraten
ghar mein jangali jaanwar rakhta hai wo
jhil laDki mor titli gul hawa
KHwab ki diwar par rakhta hai wo
ek naqsh-e-pa zamin par hai 'munir'
dusra aflak par rakhta hai wo
Ghazal
Lab pe harf-e-motabar rakhta hai wo
Muneer Saifi