lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki
ek kahani chhiD rahi hai ek kahani ho chuki
mehr ke parde mein puri dil-sitani ho chuki
banda-parwar rahm kijiye mehrbani ho chuki
mera dil taka gaya jaur o jafa ke waste
jab ki pure rang par un ki jawani ho chuki
jaiye bhi kyun mujhe jhuTi tashaffi dijiye
aap se aur mere dil ki tarjumani ho chuki
aa gaya ai sunne wale ab mujhe pas-e-wafa
ab bayan rudad-e-dil meri zabani ho chuki
aaKHiri aansu meri chashm-e-alam se gir chuka
sunne walo KHatm ab meri kahani ho chuki
hum bhi tang aa hi gae aaKHir niyaz o naz se
han KHusha qismat ki un ki mehrbani ho chuki
sunne wale surat-e-taswir baiThe hain tamam
hazrat-e-'bahzad' bas jadu-bayani ho chuki
Ghazal
Lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki
Behzad Lakhnavi