lab pe aish-e-ahd-e-mazi ka hai afsana hanuz
ja chuki hai fasl-e-gul aur main hun diwana hanuz
chain kaisa qabr mein sar par hai roz-e-baz-purs
dastan-e-dard-e-hasti ko hai dohrana hanuz
ab bhi sharh-e-soz-e-dil karti hai parwane ki KHak
sun rahi hai shama KHamoshi se afsana hanuz
phenk di sari sharab ai wae be-sabri-e-shauq
lab tak aane bhi nahin paya tha paimana hanuz
kya miTe ummid-e-tasir-e-dua ka iztirab
dil hai shan-e-rahmat-e-bari ka diwana hanuz
zindagi aaKHir hui lekin hawas ki had nahin
qabr banne ko hai aur banta hai kashana hanuz
na-umidi bhi mudawa be-qarari ka nahin
mashghala dil ka hai tum ko yaad farmana hanuz
umr-bhar khaya fareb-e-dosti lekin ye dil
rasm-o-rah-e-ahl-e-alam se hai begana hanuz
zist ki har sans hoti hai ham-aghosh-e-fana
har-nafas hai maut aur baqi hai mar jaana hunuz
kahte kahte arsa-e-mahshar tak aaya hun magar
na-mukammal hai gham-e-hasti ka afsana hanuz
paiham aankhon ka jhapakna kya juz ima-e-sujud
in ishaaron se magar 'mani' hai begana hanuz
Ghazal
Lab pe aish-e-ahd-e-mazi ka hai afsana hanuz
Mani Jayasi