lab pe aai hui ye jaan phire
yar gar is taraf ko aan phire
chain kya ho hamein jab aaTh pahar
apne aankhon mein wo jawan phire
KHun-e-ashiq chhuTa ki hai lazim
tere talwar par ye san phire
saqiya aaj jam-e-sahba par
kyun na lahraati apni jaan phire
hichkiyan li hai is tarah bat-e-mai
jis tarah gaTkari mein tan phire
ya to wo ahd the ki hum hargiz
na phirenge agar jahan phire
aae ab roke ho maaz-allah
aap se shaKHs ki zaban phire
ruTh kar uTh chale the 'insha' se
bare phir ho ke mehrban phire
Ghazal
Lab pe aai hui ye jaan phire
Insha Allah Khan u0027Inshau0027