lab par jo mere aah-e-gham-alud nahin hai
izhaar-e-mohabbat mujhe maqsud nahin hai
hum jaise faqiron ko to yun bhi na kahe wo
phir aaiyo kuchh is ghaDi maujud nahin hai
kahta hun main ye gabr o musalman ke munh par
wo abd nahin jis ka tu mabud nahin hai
narmae hai kis tarah se is aahan-e-dil ko
ye aah agar naghma-e-daud yahin hai
phirte hain kai qais se hairan o pareshan
is ishq ki sarkar mein bahbud nahin hai
tasir madad kijiyo ab sine mein apne
is nale se ek aah bhi afzud nahin hai
KHubi-e-ayaz aaphi nazar aa gai hoti
afsos tere ahd mein mahmud nahin hai
is aatish-e-furqat ke siwa dahr mein 'joshish'
dekha to kahin aatish-e-be-dud nahin hai
Ghazal
Lab par jo mere aah-e-gham-alud nahin hai
Joshish Azimabadi