lab o ruKHsar ki qismat se duri
rahegi zindagi kab tak adhuri
bahut taDpa rahe hain do dilon ko
kai nazuk taqaze la-shuuri
kai raaton se hai aaghosh suna
kai raaton ki ninden hain adhuri
KHuda samjhe junun-e-justuju ko
sar-e-manzil bhi hai manzil se duri
ajab andaz ke sham-o-sahar hain
koi taswir ho jaise adhuri
KHuda ko bhul hi jae zamana
har ek jo aarzu ho jae puri
Ghazal
Lab o ruKHsar ki qismat se duri
Asad Bhopali