اردو हिंदी
Lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar | Shaahi Shayari
lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar

Ghazal

Lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar

Jurat Qalandar Bakhsh

;

lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar
nahin lagti meri talu se zaban aaTh pahar

rawish-e-sair wo gulshan mein jo Tuk ja baiThe
bulbulen gul ke uThaya karen kan aaTh pahar

dar se ab nikle wo kyun us ko to ye hai manzur
ki nikalti hi kisi ki rahe jaan aaTh pahar

kyun-ki KHun-rez rahe tez na wo tegh-e-nigah
sang-e-surma se chaDha karti hai san aaTh pahar

kahte hain sab tere aashiq ko ki shayad ai wae
hai giraftar-e-musibat ye jawan aaTh pahar

dil ke lagne se ye dekha ki lage rahte hum aah
KHud-baKHud muztarib-ul-haal nadan aaTh pahar

jis ka hai dhyan hamein us ko bhi apna hai KHayal
wae ghaflat ki ye hum ko hai guman aaTh pahar

husn-e-KHubi-e-butan kuchh na ada ho ba-KHuda
kije gar lakh baras tak ye bayan aaTh pahar

turfa us jins-e-mohabbat ka bhi sauda dekha
sud mein jis ke rahe KHauf-e-ziyan aaTh pahar

jab se hai hum se juda aah wo rashk-e-mah-o-mahr
munh lapeTe hain bas aur hai yahi dhyan aaTh pahar

raat ko raat samajhte hain na hum din ko din
apni aankhon mein hai tarik jahan aaTh pahar

in dinon aap mein tujh ko kabhi pate hi nahin
kis ka rahta hai ye 'jurat' tujhe dhyan aaTh pahar