اردو हिंदी
Lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho | Shaahi Shayari
lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho

Ghazal

Lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho

Tafzeel Ahmad

;

lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho
zamin phir se murattab ho falak par nazar-e-sani ho

abhi tak hum ne jo manga tere shayan nahin manga
sikha de hum ko kun kahna jo teri mehrbani ho

KHas-e-be-majra hain KHar be-bazar hain to kya
numu-shahkar hum bhi hain hamari bhi kisani ho

milenge dhup ki mari chaTanon mein bhi KHwab-e-nam
koi KHushki nahin aisi jahan tah mein na pani ho

lahu ko bhi tanaffus hi rawan rakhta hai KHaliyon mein
bahe sahra mein bhi kashti agar zor-e-duKHani ho

baDa surKHab par nikla badan ka KHun-chakan rahna
shafaq sayyah ki lazim thi rangat arghawani ho

taKHatub ke liye 'tafzil' abjad mere hazir hain
koi naqqara-KHana ho ki bait be-zabani ho