lab kya khule ki quwwat-e-goyai chhin gai
pesh-e-nigah wo the ki binai chhin gai
honTon pe dahshaton ki thi tughyani har taraf
sare gawah KHushk the sachchai chhin gai
auron ke nam hi sahi sab sohbaten teri
tere baghair bhi meri tanhai chhin gai
zulm-o-sitam ki taKHt-nashini ke din jo aae
ghar ghar udas shahr ki ranai chhin gai
dast-e-nigah jab bhi uThe hain ufuq ki samt
aafaq ke nasib ki gahrai chhin gai
itni laziz tar thin ghalat-kariyan 'saba'
mil kar gale burai se achchhai chhin gai
Ghazal
Lab kya khule ki quwwat-e-goyai chhin gai
Aleem Saba Navedi