اردو हिंदी
Lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun | Shaahi Shayari
lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun

Ghazal

Lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun

Mehshar Afridi

;

lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun
mujhe wo pyas hai shayad ki main pani se mar jaun

tum us ko dekh kar chhu kar bhi zinda lauT aae ho
main us ko KHwab mein dekhun to hairani se mar jaun

main itna saKHt-jaan hun dam baDi mushkil se niklega
zara taklif baDh jae to aasani se mar jaun

ghanimat hai parinde meri tanhai samajhte hain
agar ye bhi na hon to ghar ke virane se mar jaun

nazar-andaz kar mujh ko zara sa khul ke jine de
kahin aisa na ho teri nigahbani se mar jaun

bahut se sher mujh se KHun thukwate hain aamad par
bahut mumkin hai main ek din ghazal-KHwani se mar jaun

teri nazron se gir kar aaj bhi zinda hun main kiya KHub
taqaza hai ye ghairat ka pashemani se mar jaun