اردو हिंदी
Lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana | Shaahi Shayari
lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana

Ghazal

Lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana

Dattatriya Kaifi

;

lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana
shikast-e-tauba hi hai ya nai tamir-e-mai-KHana

azal se us pe rahmat hai abad tak us pe rahmat ho
raqam hai KHatt-e-jam-e-baada mein taqdir-e-mai-KHana

to kya ai zahid-e-KHushk us ki azmat jaan sakta hai
qalam se mauj-e-kausar ke khichi taswir-e-mai-KHana

ye mai-sajjada rangin-kun garat pir-e-mughan goyad
ki dana-e-rumuz-e-do-jahan hai pir-e-mai-KHana

mila paoge is ka silsila tasnim-o-kausar se
bahut tul-o-tawil ai shaiKH hai zanjir-e-mai-KHana

bana hai shisha-e-mai sar-ba-sar aaina-e-mahshar
bari zohd-o-riya se hai jawan-e-pir-e-mai-KHana

tu sari umr ab matha ragaDta rah kaDa ke kar
na Tale se Tale ai shaiKH ye tazir-e-mai-KHana

dahai saqi-e-kausar ki ye hain nafs ke bande
jo wasl-e-hur ki KHatir karen tahqir-e-mai-KHana

habab-e-KHat-e-jam-o-qulqul-e-mina se sabit hai
wo hai tasbih-e-mai-KHana ye hai takbir-e-mai-KHana

gira jo KHisht-e-KHum par sar lab-e-kausar ne chuma hai
ki hai taqsir-e-mai-KHana hi mein tauqir-e-mai-KHana

na kyun har qatra-e-mai mehr ki aankhon ka tara ho
ki barq-e-tur ki hai ek chamak tanwir-e-mai-KHana

paDi hai ek nazar jis par wo be-KHud ho gaya 'kaifi'
nigah-e-mast-e-saqi mein hai kya tasir-e-mai-KHana