اردو हिंदी
Lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota | Shaahi Shayari
lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota

Ghazal

Lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota

Mirza Raza Barq

;

lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota
lucknow lalon ke madan se badaKHshan hota

ai pari tu wo pari hai ki teri dekh ke shakl
har farishta ki tamanna hai ki insan hota

rah gaya parda mera warna tere jate hi
na ye daman nazar aata na gareban hota

aa nikalta kabhi zahid jo teri mahfil mein
hath mein shisha-e-mai taq pe quran hota

KHair guzri jo khule baalon ko us ne bandha
warna majmua anasir ka pareshan hota

mar gaya zulf ki main pech uTha kar ai 'barq'
kyun na afsana mera KHwab-e-pareshan hota