lab-e-nazuk pe jab hansi aai
aag har-su bikherti aai
jaane kya baiThe baiThe yaad aaya
ruKH-e-ashiq pe tazgi aai
sham-e-gham dard-e-dil baDhane ko
chand ke sath chandni aai
aa gae yaad gham zamane ke
kabhi bhule se jo hansi aai
ban gai jaan par mohabbat mein
dosti ban ke dushmani aai
lazzat-e-zulm ke hain sab maddah
ras un ko sitamgari aai
aankh laDte hi mach gai halchal
baat sunne mein to yahi aai
jaane kyun dekh kar tujhe saqi
aaj phir yaad-e-mai-kashi aai
'mahir' aaya jo zikr-e-hubb-e-watan
yaad-e-'chakbast'-lakhnawi aai

Ghazal
Lab-e-nazuk pe jab hansi aai
Maahir Balgiraami