lab-e-KHamosh mujhe aah aah karne de
gunah ishq sahi ye gunah karne de
tu kaamyab nigahon ko sharmsar na kar
isi tarah sitam-e-be-panah karne de
abhi se dars-e-haqiqat zara Thahar waiz
KHirad ko aur KHarab-e-nigah karne de
na raat-din ki KHabar hai na aaj-kal ka pata
kisi qarar-shikan se nibah karne de
nai kaman hai nai mashq hai na rok nigah
harim-e-dil ko mukammal tabah karne de
kahan teri shab-e-gesu kahan meri shab-e-hijr
muqabla bhi nasib-e-siyah karne de
na rind hun na shariat se zid mujhe 'talib'
koi bala se kare ishtibah karne de

Ghazal
Lab-e-KHamosh mujhe aah aah karne de
Talib Baghpati