lab-e-izhaar pe jab harf-e-gawahi aae
aahani haar liye dar pe sipahi aae
wo kiran bhi to mere nam se mansub karo
jis ke luTne se mere ghar mein siyahi aae
mere hi ahd mein suraj ki tamazat jage
barf ka shahr chaTaKHne ki sada hi aae
itni pur-haul siyahi kabhi dekhi to na thi
shab ki dahliz pe jalne ko diya hi aae
rah-raw-e-manzil-e-maqtal hun mere sath 'saba'
jo bhi aae wo kafan oDh ke rahi aae
Ghazal
Lab-e-izhaar pe jab harf-e-gawahi aae
Sibt Ali Saba