lab-e-gul ki hansi degi na tum ko raushni apni
zara shabnam ke ashkon mein bhi dekhun zindagi apni
hamein kya gham ki hum ek zamzama-pardaz-e-gulshan the
bahaaron ko hui mahsus gulshan mein kami apni
mujhe mahfil ki nazron se nazar aata hai mahfil mein
gawara KHatir-e-rangin ko hai sada-dili apni
mere dil ki taraf ek bar bheji thi kiran us ne
bhula di chand ne us raat se tabindagi apni
jo rahbar karwan ko manzilon ke nam par luTe
bata ai ham-safar achchhi nahin kya gumrahi apni
ye sab jam-o-subu KHali sawera tishna-kaami ka
ki ab kal ke liye rahne de kuchh saqi-gari apni
sharab o shahid o shahd-e-tarannum nashsha-e-ishrat
inhi mein parwarish pati rahi hai tishnagi apni
nigah gustaKH tewar tund kaun aaya sar-e-mahfil
'niyaz' aate hi tere fikr sab ko ho gai apni
Ghazal
Lab-e-gul ki hansi degi na tumko raushni apni
Niyaz Haidar