lab-e-gudaz pe alfaz-e-saKHt rahte hain
zaban-e-ghair ke lahje karaKHt rahte hain
kahin kahin to ghulamon se bhi rahe bad-tar
wo jin ke panw ki Thokar mein taKHt rahte hain
ruten badalti hain waqt ek sa nahin rahta
tamam umr na bedar baKHt rahte hain
KHizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi'
sada-bahaar kahan tak daraKHt rahte hain
Ghazal
Lab-e-gudaz pe alfaz-e-saKHt rahte hain
Iqbal Kaifi