اردو हिंदी
Lab-e-dariya muradon ka makan kaisa raha hoga | Shaahi Shayari
lab-e-dariya muradon ka makan kaisa raha hoga

Ghazal

Lab-e-dariya muradon ka makan kaisa raha hoga

Khursheed Akbar

;

lab-e-dariya muradon ka makan kaisa raha hoga
ghani palkon tale aab-e-rawan kaisa raha hoga

dahakti aag mein wo saeban kaisa raha hoga
hamare sar ke upar aasman kaisa raha hoga

bahut bechain hai KHak-e-bayaban sar paTakti hai
diwana shahr bhar mein be-aman kaisa raha hoga

sitare bujh gae honge zaminen jal rahi hongi
phir is ke baad sair-e-la-makan kaisa raha hoga

zamin ki be-panahi dekhta hun yaad karta hun
falak pahlu mein tum sa mehrban kaisa raha hoga