lab chup hain to kya dil gila-pardaz nahin hai
sab kuchh hai KHamoshi mein ek aawaz nahin hai
kitna hi wo jhiDken main kahe jata hun apni
ghairat meri ab kuchh KHalal-andaz nahin hai
pahuchunga zarur aaj main us shoKH ke ghar mein
diwar to nichi hai jo dar-baz nahin hai
is samt maraz ishq ka anjam ko pahuncha
is samt tawajjoh ka bhi aaghaz nahin hai
kya sada-dili hai ki teri chin-e-jabin ko
main naz samajhta hun magar naz nahin hai
marna tha ki sehat maraz-e-ishq se pai
ab kuchh bhi tabiat na-saz nahin hai
kyun sach ye kaha us ne ki ulfat nahin mujh se
ye aib hi zalim mein ki dam-baz nahin hai
rote hue jine se ajal ishq mein achchhi
murde mein ye KHubi hai ki ghammaz nahin hai
zillat mujhe manzur magar aaun tere ghar
kya harj mohabbat ka jo eazaz nahin hai
kyun baiThe hain hum wada-e-mahbub pe KHush KHush
kya khoe talawwun bhi dar-andaz nahin hai
ai 'shauq' kahe deti hai kuchh shakl KHamoshi
chup kyun ho agar dil mein koi raaz nahin hai
Ghazal
Lab chup hain to kya dil gila-pardaz nahin hai
shauq Qidvai