lab-ba-lab bint-ul-anab har-dam rahe
daur-daur-e-jam-e-mai jam jam rahe
zikr-e-qumri bhi jo karte hum rahe
us sahi qamat ka bharte dam rahe
dud-e-KHat ho ya duKHan-e-zulf ho
jis jagah dhuni ramai ram rahe
shoKH kaisa hai aqiq-e-surKH ho
lal-e-lab se rang mein maddham rahe
na-tawani ne biThaya jis jagah
phir na uTThe lais ho kar jam rahe
jab main roya barish-e-baran hui
khul gaya munh ashk jis dam tham rahe
'shad' pichha kar ke ghaul-e-nafs ka
rah-e-haq bhule-bhaTkte hum rahe
Ghazal
Lab-ba-lab bint-ul-anab har-dam rahe
Shad Lakhnavi