lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
tanha gae kyun ab raho tanha koi din aur
miT jaega sar gar tera patthar na ghisega
hun dar pe tere nasiya-farsa koi din aur
aae ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaun
mana ki hamesha nahin achchha koi din aur
jate hue kahte ho qayamat ko milenge
kya KHub qayamat ka hai goya koi din aur
han ai falak-e-pir jawan tha abhi aarif
kya tera bigaDta jo na marta koi din aur
tum mah-e-shab-e-chaar-dahum the mere ghar ke
phir kyun na raha ghar ka wo naqsha koi din aur
tum kaun se the aise khare dad-o-sitad ke
karta malak-ul-maut taqaza koi din aur
mujh se tumhein nafrat sahi nayyar se laDai
bachchon ka bhi dekha na tamasha koi din aur
guzri na bahar-haal ye muddat KHush o na-KHush
karna tha jawan-marg guzara koi din aur
nadan ho jo kahte ho ki kyun jite hain 'ghaalib'
qismat mein hai marne ki tamanna koi din aur
Ghazal
Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
Mirza Ghalib