lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho
jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho
zaKHm-e-jigar ka wa kisi surat wahan na ho
paikan-e-yar is mein jo shakl-e-zaban na ho
allah re be-hisi ki jo dariya mein gharq hon
talab ki tarah kabhi pani rawan na ho
gul KHanda-zan hai chahchahe karti hai andalib
phaili hui chaman mein kahin zafaran na ho
bhago yahan se ye dil-e-nalan ki hai sada
bahke ho yaro ye jaras-e-karwan na ho
hasti adam se hai meri wahshat ki ek shalang
ai zulf-e-yar panw ki tu beDiyan na ho
lena bajae fatiha turbat pe nam-e-yar
marne pe ye KHayal hai wo bad-guman na ho
naqa chala hai najd mein laila ka be-mahaar
majnun ki ban paDegi agar sar-ban na ho
chaalon se charKH ki ye mera azm hai 'surur'
is sarzamin pe jaun jahan aasman na ho
Ghazal
Lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho
Rajab Ali Beg Suroor