lazim hai buland aah ki rayat na kare tu
tasKHir agar dil ki wilayat na kare to
aankhon ka bahe jaana saha girye par afsos
ab bhi agar us dil mein sarayat na kare tu
main moDun na munh us ki jafa se pa karun kya
is waqt wafa phir jo kifayat na kare tu
jamiyyat-e-aghyar se Darte nahin aashiq
par KHauf ye hai un ki himayat na kare tu
ai qasid agar nama mera chaak kare yar
behtar hai ki mujh se bhi riwayat na kare tu
phir kah tu chimaT kar na len hum bosa so kyunkar
jab aap se gali bhi inayat na kare tu
ai mir-'raza' tujh ko abhi us se mila den
gar rashk ki phir hum se shikayat na kare tu
Ghazal
Lazim hai buland aah ki rayat na kare tu
Raza Azimabadi

