law-lashkar jah-o-hashmat hai yahan
shah koi kab salamat hai yahan
bargah-e-dirham-o-dinar hai
har koi miskin surat hai yahan
be-zabani par meri bola KHuda
lab-kushai ki ijazat hai yahan
ai fasil-e-shahr tu rahiyo gawah
sahib-e-alam ki hurmat hai yahan
shahr kya hai ek dasht-e-be-hisi
ganw to phir bhi ghanimat hai yahan
hum karenge jo hamare bas mein hai
baqi apni apni qismat hai yahan
ru-ba-ru hota hai apna zikr-e-KHair
piTh-pichhe sari ghibat hai yahan
dar nahin darban ko sajda karo
kaamyabi ki zamanat hai yahan
tum hamare ho kuchh is mein shak nahin
bas zara har shai ki qimat hai yahan
sare apne hi hain teri bazm mein
ghair to bas dil ki haalat hai yahan
ishq to ruKHsat hua majnun ke sath
kis liye laila ki shohrat hai yahan
kis qadar ghis-piT gaya ye qafiya
jis taraf dekho mohabbat hai yahan
ishq hai bazi-gar-e-mulk-e-adam
husn bhi kufran-e-neamat hai yahan
Ghazal
Law-lashkar jah-o-hashmat hai yahan
Rasool Saqi