lale paDe hain jaan ke jine ka ehtimam kar
jin mein ho kaif-e-zindagi bahr-e-KHuda wo kaam kar
taur-e-hayat se uDa jazba-e-zistan ki aag
jab kahin ja ke niyat-e-zindagi dawam kar
pahle ye soch dam ke toDne ki sakat bhi hai
baad ko dil mein KHwahish-e-dana-e-zer-e-dam kar
tujh ko teri hi aankh se dekh rahi hai kaenat
baat ye raaz ki nahin apna KHud ehtiram kar
haif samajh raha hai tu apni jhijak ko mohtasib
mai-kada-e-hayat mein shauq se mai-ba-jam kar
naqsh-nawi nahin hai tu safha-e-rozgar par
miTne se gar nahin mafar miT hi ke apna nam kar
banda-e-KHwahishat ko kahta hai kaun abd-e-hur
chahiye hurriyat agar dil ko 'amin' ghulam kar
Ghazal
Lale paDe hain jaan ke jine ka ehtimam kar
Ameen Hazin