اردو हिंदी
Lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani | Shaahi Shayari
lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani

Ghazal

Lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani

Fani Jodhpuri

;

lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani
apni zamin wale KHuda se nahin bani

KHushiyon ke sath rah na sake ek pal kabhi
yani charaghiyon ki hawa se nahin bani

sunne ki had talak use ek bar kya suna
kanon ki phir kisi bhi sada se nahin bani

apni ana ki ret pe apne usul pe
pala wo dard jis ki dawa se nahin bani

hum ne isi zamin pe 'fani' khilae phul
muddat se jis zamin ki ghaTa se nahin bani