lala-zaron mein zard phul hun main
fasl-e-gul hai magar malul hun main
chand-taron ko rashk hai mujh par
tere qadmon ki sirf dhul hun main
kyun mujhe sangsar karte ho
kab ye main ne kaha rasul hun main
nur-e-sar-masti-e-abad hun magar
mai-e-shaffaf mein hulul hun main
ranj-o-gham kyun na meri qadr karen
be-gharaz aur ba-usul hun main
chandni kya payam lai hai
aaj kuchh aur bhi malul hun main
sab ke haq mein hun shaKH-e-gul lekin
sirf apne liye babul hun main
mujh pe hi yurish-e-alam kyun hai
jab haqiqat mein teri bhul hun main
gham-e-hijran hi wo sahi 'abid'
koi to hai jise qubul hun main
Ghazal
Lala-zaron mein zard phul hun main
Abid Munavari