lala-ru tum ghair ke pale paDe
dekhne ke hain hamein lale paDe
jab nazar surme ke dumbaale paDe
dil ke pichhe tir aur bhaale paDe
is baras furqat mein tere ashk ke
chashm se bahte hain parnale paDe
hum hawa-e-wasl mein yan tak phire
jo hawas ke panw mein chhaale paDe
aariz us ke par nahin zulf-e-siyah
ganj par sote hain do kale paDe
aah aur nale ke girda-gird dil
phirte hain raaton ko rakhwale paDe
kya nazakat hai ki bosa lete hi
honT par us gul ke tab KHale paDe
aankhen us KHun-KHar se phir ja laDin
zaKHm-e-dil ke hain abhi aale paDe
ishq ke hathon se jun farhad-o-qais
kya kahin kis kis ke ghar ghaale paDe
aashiq us ki mast aankhon ke mudam
phirte hain behosh matwale paDe
shaiKH tum filhaal dar-bazm-e-sama
bad-usuli se ho be-tale paDe
apne ghar mein shaiKH andheri raat mein
hath jo aawe use ja le paDe
khole ye shishon ke munh saqi ne aaj
bazm mein tirte hain kya pyale paDe
uDte phirte hain zamin par shakl-e-abr
parcha parcha rui ke gale paDe
dar par us gul ke 'muhib' tum se hazar
phirte hain dil bechne wale paDe

Ghazal
Lala-ru tum ghair ke pale paDe
Waliullah Muhib