اردو हिंदी
Lala-o-gul ka lahu bhi raegan hone laga | Shaahi Shayari
lala-o-gul ka lahu bhi raegan hone laga

Ghazal

Lala-o-gul ka lahu bhi raegan hone laga

Mutrib Nizami

;

lala-o-gul ka lahu bhi raegan hone laga
pankhuDi par qatra-e-shabnam garan hone laga

rafta rafta aankh se aansu rawan hone laga
waqt ke KHake mein naqsh-e-jawedan hone laga

is tarah tahrir ke alfaz lau dene lage
dekhte hi dekhte kaghaz dhuan hone laga

silsile tahrir ke manzil-ba-manzil tai hue
lafz jo main ne likha wo karwan hone laga

jab se nazren mahw-e-tazin-e-nazara ho gain
aaina ijz-e-numaish ki zaban hone laga

kya KHizan ne rang-o-nikhat par kamanden Dal din
kyun lab-e-gul ka tabassum bhi fughan hone laga

raushni ki saltanat bhi gul-badaman ho gai
ek shoala mom par jab hukmaran hone laga