lakh unchi sahi ai dost kisi ki aawaz
apni aawaz bahar-e-haal hai apni aawaz
ab kuen par nazar aata nahin pyason ka hujum
tere pazeb ki kya TuT ke bikhri aawaz
wo kisi chhat kisi diwar se roke na ruki
garm honTon ke tasadum se jo ubhri aawaz
logo sach mat kaho sach ki nahin qimat koi
kisi diwane ki sannaTe mein gunji aawaz
buDhi sadiyon ki jaDen kaT diya karti hai
choT khae hue jazbaat ki zaKHmi aawaz
main ne jab jab kaha tishna hain adab ki qadren
dab gai kitni hi aawazon mein meri aawaz
waza-dari ne kahin ka nahin rakkha 'zahid'
warna kitnon ne badal rakkhi hai apni aawaz
Ghazal
Lakh unchi sahi ai dost kisi ki aawaz
Zahid Kamal