lakh taqdir pe roe koi rone wala
sirf rone se to kuchh bhi nahin hone wala
bar-e-gham gul hai ki patthar hai ye mauquf is par
kis saliqe se ise Dhota hai Dhone wala
koi tadbir ya tawiz nahin kaam aati
hadsa hota hai har haal mein hone wala
tu hai shaer tujhe hargiz na suhae rona
tera har ashk hai giton mein pirone wala
khaul uThta hai lahu dekh ke apna yaro
fasl ko kaTe na jab fasl ko bone wala
maut ki god mein jab tak nahin tu so jata
tu 'sada' chain se hargiz nahin sone wala
Ghazal
Lakh taqdir pe roe koi rone wala
Sada Ambalvi