lakh samjhaya magar zid pe aDi hai ab bhi
koi ummid mere pichhe paDi hai ab bhi
shahr-e-tanhai mein mausam nahin badla karte
din bahut chhoTa yahan raat baDi hai ab bhi
man lun kaise yahan dariya nahin tha logo
dekh lo ret pe ek kashti paDi hai ab bhi
chhat mein kuchh chhed hain ye raaz batane ke liye
dhup KHamoshi se kamre mein khaDi hai ab bhi
waqt ne nam-o-nasab chhin liya hai lekin
ghaur se dekh meri nak baDi hai ab bhi
aasman tu ne chhupa rakkha hai suraj ko kahan
kyun kalai mein teri band ghaDi hai ab bhi
manzilen deti hain aawaz ki jaldi aao
peD kahte hain ruko dhup kaDi hai ab bhi
Ghazal
Lakh samjhaya magar zid pe aDi hai ab bhi
Sardar Asif