lakh nadan hain magar itni saza bhi na mile
chaarasazon ko meri sham-e-bala bhi na mile
hasrat-agin to hai nakaami-e-manzil lekin
lutf to jab hai ki KHud apna pata bhi na mile
kuchh nigahon se gham-e-dil ki KHabar milti hai
warna hum wo hain ki baaton se hawa bhi na mile
KHwahish-e-dad-rasi kya ho sitam-gar se jahan
aankh mein shaiba-e-uzr-e-jafa bhi na mile
is qadar qaht-e-basirat bhi nahin ai waiz
hum buton ke liye niklen to KHuda bhi na mile
ishq wo arsa-e-pur-KHar hai hamdam ki jahan
zindagi ras na aae to qaza bhi na mile
kya qayamat hai tabiat ki rawani 'waris'
koi DhunDhe to nishan-e-kaf-e-pa bhi na mile
Ghazal
Lakh nadan hain magar itni saza bhi na mile
Varis Kirmani