اردو हिंदी
Lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya | Shaahi Shayari
lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya

Ghazal

Lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya

Agha Shayar Qazalbash

;

lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya
jis ne is dil ko hatheli ka phaphula kar diya

dekhna maghrib ki jaanib ye shafaq ka phulna
Dubte suraj ne sone mein suhaga kar diya

zindagi aur maut mein ek umr se thi kashmakash
waqt par do hichkiyon ne pak jhagDa kar diya

ek sharara sa qarib-e-shama ja kar mil gaya
aatish-e-parwana ne shole ko duna kar diya

bulbul-e-taswir hun ab bolna hai nagawar
teri is hangama aarai ne chupka kar diya

is ko kahte hain lagi parwane jal bujh Dub mar
rote rote shama ne aaKHir sawera kar diya

de diya aankhen laDa kar is pari-paikar ne jam
main nashe mein chur tha hi aur andha kar diya

kya girami hastiyan hain hazrat-e-'usman'-o-'shad'
'shair' in donon ne duniya mein ujala kar diya