lakh kuchh na hum kahte be-zaban rahe hote
aap to ba-har-surat bad-guman rahe hote
wo to rang le aai apne KHun ki garmi
warna sare qisse mein hum kahan rahe hote
raat ke bhanwar mein hain hum charagh ki surat
sath sath hote to kahkashan rahe hote
aaj ek haqiqat hain sar-faroshiyan apni
warna hum tabahi ki dastan rahe hote
dhup hai masail ki aur ek 'bashar' tanha
kash sar pe rishton ke saeban rahe hote
Ghazal
Lakh kuchh na hum kahte be-zaban rahe hote
Charan Singh Bashar