اردو हिंदी
Lakh ho mazi daman-gir | Shaahi Shayari
lakh ho mazi daman-gir

Ghazal

Lakh ho mazi daman-gir

Sardar Soz

;

lakh ho mazi daman-gir
mustaqbil ki dekh lakir

sab se mohabbat karna sikh
kah ke gaya kal ek faqir

sab allah ke bande hain
koi nahin duniya mein haqir

ahd-e-jawani bit gaya
kar ab jine ki tadbir

kohkan ab bhi zinda hai
la na saka jo ju-e-shir

kaise main us ko sher kahun
jis mein na ho koi tasir

dilkash hain kirdar ye sab
laila ho shirin ya hir

apni qismat aap bana
kyun hai gila-sanj-e-taqdir

soz-e-darun bhi neamat hai
nam usi ka hai iksir

'soz' gham-e-jaanan hi to hai
ahl-e-mohabbat ki jagir