اردو हिंदी
Lakh gham sine se lipTe rahe nagan ki tarah | Shaahi Shayari
lakh gham sine se lipTe rahe nagan ki tarah

Ghazal

Lakh gham sine se lipTe rahe nagan ki tarah

Krishn Bihari Noor

;

lakh gham sine se lipTe rahe nagan ki tarah
pyar sachcha tha mahakta raha chandan ki tarah

tujh ko pahchan liya hai tujhe pa bhi lunga
ek janam aur mile gar isi jiwan ki tarah

ab koi kaise pahunch paega tere gham tak
muskurahaT ki rida Dal di chilman ki tarah

koi tahrir nahin hai jise paDh le koi
zindagi ho gai be-nam si uljhan ki tarah

jaise dharti ki kisi shai se talluq hi nahin
ho gaya pyar tera bhi tere daman ki tarah

sham jab raat ki mahfil mein qadam rakhti hai
bharti hai mang mein sindur suhagan ki tarah

muskuraate ho magar soch lo itna ai 'nur'
sud leti masarrat bhi mahajan ki tarah