lakh dil ne pukarna chaha
main ne phir bhi tumhein nahin roka
tum meri wahshaton ke sathi the
koi aasan tha tumhein khona?
tum mera dard kya samajh pate
tum ne to sher tak nahin samjha
kya kisi KHwab ki talafi hai?
aankh ki dhajjiyon ka uD jaana
is se rahat kashid kar!! din raat
dard ne mustaqil nahin rahna
aap ke mashwaron pe chalna hai?
achchha suniye main sans le lun kya?
KHwab mein amrita ye kahti thi
in se koi sila nahin beTa
dekh tezab se jale chehre
hum hain aise samaj ka hissa
laDkhaDana nahin mujhe phir bhi
tum mera hath tham kar rakhna
warisan-e-gham-o-alam hain hum
hum saloni kitab ka qissa
sun meri bad-guman pari!! sun to
har koi bheDiya nahin hota
Ghazal
Lakh dil ne pukarna chaha
Fariha Naqvi