lakh chaha main ne parda samne aaya nahin
meri aankhon ne use DhunDa magar paya nahin
rahraw-e-dasht-e-tamanna ka safar mushkil hua
dhup ta-hadd-e-nazar hai aur kahin saya nahin
kuchh dinon se baDh raha hai mere dil ka iztirab
ek bhi lamhe ne mujhe aaram pahunchaya nahin
naqsh hai meri sada ab tak dar-o-diwar par
tere kanon se to ek bhi lafz Takraya nahin
jitne asli phul the gul-dan mein murjha gae
kaghzi phulon mein koi phul kumhlaya nahin
abr guzra hai meri kisht-e-tamanna se 'rashid'
saya to us ne kiya hai meinh barsaya nahin

Ghazal
Lakh chaha maine parda samne aaya nahin
Rasheed Usmani