lai teri mahfil mein mujhe aarzu-e-did
darpesh hai phir marhala-e-tur ki tajdid
mayus tamannaon ko ai dost teri yaad
jaise ufq-e-bim pe ek aKHtar-e-ummid
KHud apna qafas ban gai kotahi-e-parwaz
kuchh dur nahin warna jahan-e-mah-o-KHurshid
ek ek ada shauq ki tahzib pe mail
ek ek nazar shoKHi-e-jazbaat ki tanqid
jo KHud na samajh pae wo samjhae to kaise
afkar mein ibham to guftar mein taqid
jina bhi ibaadat use pina bhi ibaadat
hasil ho jise chashm-e-siyah-mast ki taid
pindar-e-junun ho na saka ram-e-gudai
ras aae na 'taban' mujhe altaf-e-sanadid

Ghazal
Lai teri mahfil mein mujhe aarzu-e-did
Taban Ghulam Rabbani