lai bahaar shauq ke saman nae nae
duniya nai nai si dil o jaan nae nae
saqi ki ek nigah ne baKHshi hayat-e-nau
dil mein machal gae mere arman nae nae
har aan tarz-e-nau se satae hai aasman
mere liye sitam ke hain unwan nae nae
barbaadiyon ka apne nasheman ki gham nahin
tamir ho rahe hain gulistan nae nae
fasl-e-bahaar aai mubarak ho ai junun
daman nae nae hain gareban nae nae
us chashm-e-nim-baz ki wo kam-nigahiyan
dil mein utar gae mere paikan nae nae
masjid mein bhi fasana buton ka janab-e-shaiKH
shayad hue hain aap musalman nae nae
'mumtaz' ek charagh-e-sar-e-rahguzar sahi
honge charagh us se farozan nae nae
Ghazal
Lai bahaar shauq ke saman nae nae
Mumtaz Mirza