laeq kuchh nalaeq bachche hote hain
sher kahan sare hi achchhe hote hain
auron ke dukh mein aankhen bhar aati hain
aise aansu KHalis sachche hote hain
bachchon ki KHushiyan Dheron sukh deti hain
hath mein ummidon ke lachchhe hote hain
hum hi ulTa-sidha socha karte hain
rishte thoDe pakke kachche hote hain
jab aankhon ka ek bharosa Dhahta hai
sapnon ke lakhon parKHachche hote hain
miThe logon se mil kar hum ne jaana
tikhe kaDwe aksar sachche hote hain

Ghazal
Laeq kuchh nalaeq bachche hote hain
Pratap Somvanshi